Free Web Hosting by Netfirms
Web Hosting by Netfirms | Free Domain Names by Netfirms

Apne deewane pe itna zulm kyon dhaate ho?
Khwab mein bhi baap ko saath leke aate ho!

Tere sasural main aana pada woh sitam kam hai kya?
Aa apne bachon ko mat bol 'beta, mama aayee hain'

Anaath ashram se kuch log aaye chanda mangne ke liye,
Keh diya kya doon, mere to bachhe hi neghin

(Collection)
Tum aa gayee ho,
Noor aa gaya hai ,Tum aa gayee ho,
Noor aa gaya hai ,Tum aa gayee ho,
Noor aa gaya hai Chalo.

Teeno picture ko chale kyon apni kabar khud khod raha hai dost,
La, paawda mujhe de de.

Kaash tere chehere pe Chickenpox ke daag hote,
Chand to tu hi hai, Sitare bhi saath hote.

Unki zulfoon pe pyaar aaya
Paas ja-kar dekha tho sardar paaya.

Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon,
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon.

Duniya Se Jo Darre, Usse Kaayar Kehta Hain,
Duniya Jisse Darre, Usse Shaayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Darre, Usse Shohar Kehte Hain.

Khuda kare hasinon ke baap mar jayen
bahana ho maut ka aur ham unke ghar jayen.
Aisa mat keh zalim yeh maha-paap hoga
kabhi tu bhee kisi hasina ka baap hoga.

Hum aah bhi bharte hai to ho jate hai badnaam.
vho qatl bhi karte hai to charcha nahin hoti.

Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel,
So my darling ... What's The Big-Deal ??.

Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge,
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge,
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena,
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge.

Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai

Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain.....
jaise kal chamak rahe they !!!

Maine tumhare yaadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itney be-wafa nikle ki nahake chal diye

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ...
ke kyon kabhi kabhi mere
dil mein khayal aata hai??

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain

Tum aa gaye ho,
Noor aa gaya hai
Chalo teeno movie chalen

Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Accha hua ke tum bewafa nikle
Saale wafadaar to kutthe hote hain
 

jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud kushi(sucide) kar le Zalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi

humne pyaar kiya bade josh ke saath
humne pyaar kiya bade jor ke saath
par ab pyaar karange badi soch ke saath
kyoki kal unhe dekha kisi aur ke saath

Back